اردو हिंदी
Tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain | Shaahi Shayari
tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain

Ghazal

Tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain

Amir Hamza Saqib

;

tere KHayal ke jab shamiyane lagte hain
suKHan ke panw mere laDkhaDane lagte hain

jo ek dast-e-burida sawad-e-shauq mein hai
alam uThae hue us ke shane lagte hain

main dasht-e-hu ki taraf jab uDan bharta hun
teri sada ke shajar phir bulane lagte hain

KHabar bhi hai tujhe is daftar-e-mohabbat ko
jalane jalne mein kya kya zamane lagte hain

ye gard hai meri aankhon mein kin zamanon ki
nae libas bhi ab to purane lagte hain

tumhaare mewa-e-lab ko nigah se chhute hi
ajib lazzat-e-nayab pane lagte hain

jo sansanata hai kufa o nainwa ka KHayal
gulu-e-jaan ki taraf tir aane lagte hain