اردو हिंदी
Tere KHayal ka shoala thama thama sa tha | Shaahi Shayari
tere KHayal ka shoala thama thama sa tha

Ghazal

Tere KHayal ka shoala thama thama sa tha

Mazhar Imam

;

tere KHayal ka shoala thama thama sa tha
tamam shahr-e-tamanna bujha bujha sa tha

na jaane mausam-e-talwar kis tarah guzra
mere lahu ka shajar to jhuka jhuka sa tha

hamein bhi nind ne thapki di so gae tum bhi
tamam hadsa-e-shab suna suna sa tha

bala-e-sham ke sae the aur wadi-e-dil
agarche subh ka chehra dhula dhula sa tha

charag manzil-e-dil par jala ke kya karte
wafa ka qafila kab se ruka ruka sa tha

wo nam jis ke liye zindagi ganwai gai
na jaane kya tha magar kuchh bhala bhala sa tha