tere jamal-e-haqiqat ki tab hi na hui 
hazar bar nigah ki magar kabhi na hui 
teri KHushi se agar gham mein bhi KHushi na hui 
wo zindagi to mohabbat ki zindagi na hui 
kahan wo shoKH mulaqat KHud se bhi na hui 
bas ek bar hui aur phir kabhi na hui 
wo hum hain ahl-e-mohabbat ki jaan se dil se 
bahut buKHar uThe aankh shabnami na hui 
Thahar Thahar dil-e-betab pyar to kar lun 
ab us ke baad mulaqat phir hui na hui 
mere KHayal se bhi aah mujh ko buad raha 
hazar tarah se chaha barabari na hui 
hum apni rindi-o-taat pe KHak naz karen 
qubul-e-hazrat-e-sultan hui hui na hui 
koi baDhe na baDhe hum to jaan dete hain 
phir aisi chashm-e-tawajjoh hui hui na hui 
tamam harf-o-hikayat tamam dida-o-dil 
is ehtimam pe bhi sharh-e-ashiqi na hui 
fasurda-KHatiri-e-ishq ai maaz-allah 
KHayal-e-yar se bhi kuchh shaguftagi na hui 
teri nigah-e-karam ko bhi aazma dekha 
aziyyaton mein na honi thi kuchh kami na hui 
kisi ki mast-nigahi ne hath tham liya 
sharik-e-haal jahan meri be-KHudi na hui 
saba ye un se hamara payam kah dena 
gae ho jab se yahan subh o sham hi na hui 
wo kuchh sahi na sahi phir bhi zahid-e-nadan 
baDe-baDon se mohabbat mein kafiri na hui 
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi 
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui 
KHayal-e-yar salamat tujhe KHuda rakkhe 
tere baghair kabhi ghar mein raushni na hui 
gae the hum bhi 'jigar' jalwa-gah-e-jaanan mein 
wo puchhte hi rahe hum se baat bhi na hui
 
        Ghazal
Tere jamal-e-haqiqat ki tab hi na hui
Jigar Moradabadi

