tere jalwe tere hijab ko meri hairaton se numu mili
ki tha shab se din kabhi tira-tar kabhi shab hi aaina-ru mili
teri qurbaton se bhi kya hua teri duriyon ka to kya gila
wo maqam main hi na pa saka mujhe jis maqam pe tu mili
wo hawaon hi se baras paDe wo teri nigah se chhalak uThe
koi be-KHudi na hamein mili ki jo be-niyaz-e-subu mili
wo ho fasl-e-gul ki faza-e-dil jo mila kahin to junun mila
magar ek KHirad hi na mil saki jo mili to sarf-e-rafu mili
Ghazal
Tere jalwe tere hijab ko meri hairaton se numu mili
Mukhtar Siddiqui