tere jahan se alag ek jahan chahta hun
nai zamin naya aasman chahta hun
badan ki qaid se bahar to ja nahin sakta
isi hisar mein rah kar uDan chahta hun
KHamosh rahne pe ab dam sa ghuTne lagta hai
mere KHuda main dahan mein zaban chahta hun
koi shajar hi sahi dhup se najat to ho
ye tum se kis ne kaha saeban chahta hun
ye TukDa TukDa zaminen na kar ata mujh ko
main pure sahn ka pura makan chahta hun
phir ek bar meri ahmiyat ko lauTa de
teri nigah ko phir mehrban chahta hun
meri talab koi dushwar-kun nahin 'azar'
isi zamin pe hifz-o-aman chahta hun

Ghazal
Tere jahan se alag ek jahan chahta hun
Mushtaq Aazar Fareedi