tere hai zulf o ruKH ki did subh-o-sham aashiq ka
yahi hai kufr aashiq ka yahi islam aashiq ka
piya pe qadah-e-labrez de ai saqi-e-mastan
tahi tujh daur mein afsos rahwe jam aashiq ka
har ek yan manzil-e-maqsud ko pahunche hai tujh se hi
magar ek KHalq mein firqa hai sau nakaam aashiq ka
kabhi mashuq ko marte na dekha dar pe aashiq ke
yahi baqi hai sar mashuq ke ilzam aashiq ka
hua hai KHat 'nasir' aaghaz us mah-ru ke chehre par
do-chand ab ye nazar aata hai kuchh anjam aashiq ka
Ghazal
Tere hai zulf o ruKH ki did subh-o-sham aashiq ka
Shah Naseer