tere hath pe kheton ki miTTi mera motiyon wala jama
kal chunte hue sarson tu ne kyun mera daman thama
israr na kar zid chhoD sakhi jati hun piya se milne
le bandh kalai par gajre le Dal gale mein nama
wahi aa ke biraje aangan mein wahi saje naddi ke taT par
wahi bhainsen charae bailon mein wahi charwaha wahi kaama
auraq sajan sanjog katha idrak swayamwar sakhiyan
kawiraj tum apni kawita ka ban-bas rakho sarnama
kahin ghunghaT ke paT kanhai kahin basti mein ruswai
kahin honT ki khonT pe murli ki dhun kahin hirdai mein hangama
Ghazal
Tere hath pe kheton ki miTTi mera motiyon wala jama
Nasir Shahzad