tere gesuon ke sae mein jo ek pal raha hun
abhi tak hai yaad mujh ko abhi tak bahal raha hun
main wo rind-e-nau nahin hun jo zara si pi ke bahkun
abhi aur aur saqi ki main phir sambhal raha hun
nahin gham na mil sakegi mujhe shaiKH teri jannat
mujhe aarzu nahin hai na main hath mal raha hun
jo na mere kaam aae jo na meri baat mane
main wo dil badal raha hun main wo dil badal raha hun
mujhe jada-e-talab mein rah-e-pur-KHatar ka kya gham
ki qadam jidhar uThe hain usi samt chal raha hun
jo gira to phir uThunga ki jawan hai azm mera
mujhe tum na do sahaara main agar phisal raha hun
wo daba ke mera daman wo jhuka ke un ki nazren
nahin bhulta ye kahna abhi main bhi chal raha hun
Ghazal
Tere gesuon ke sae mein jo ek pal raha hun
Anees Ahmad Anees