tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai
wo ashk-e-KHun hi mere gham ka tarjuman hua hai
hai jaane kya pas-e-diwar aaina jis par
yaqin kar ke bhi dil waqf-e-sad-guman hua hai
burida shaKH-e-shajar ka shikasta patton ka
tere siwa bhi koi mauja-e-KHizan hua hai
zara si der ko us ne palaT ke dekha tha
zara si baat ka charcha kahan kahan hua hai
bichhaD ke tujh se tha 'KHurshid' ka Thikana kya
KHusha-nasib shab-e-gham ka aastan hua hai
Ghazal
Tere firaq mein jo aankh se rawan hua hai
Khurshid Rabbani