tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten
mere doston ki nawazishen mere dushmanon ki inayaten
ye hai turfa surat-e-dosti ki nigah-o-dil hama barf hain
na wo baada hai na wo zarf hain na wo harf hain na hikayaten
yahi rabt-o-zabt-e-gham-o-alam teri rae mein kabhi KHub the
wo yahi to mere uyub the jinhen di gai thin riayaten
tere aastan se kashan kashan liye ja rahi hain kahan kahan
mere nasehon ki hidayaten tere waizon ki riwayaten
tera nam lete hi ai KHuda main sanam-kade se nikal chuka
rahen kash ta-dar-e-mustafa meri rahnuma teri aayaten
Ghazal
Tere dil mein bhi hain kuduraten tere lab pe bhi hain shikayaten
Hafeez Jalandhari