اردو हिंदी
Tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila | Shaahi Shayari
tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila

Ghazal

Tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila

Masud Husain Khan

;

tere dayar mein koi bhi ham-zaban na mila
hazar naqsh mile koi raazdan na mila

main sochta hun ki ye bhi hasin hain lekin
tasawwur-e-ruKH-e-jaanan ka imtihan na mila

ye sach nahin hai ki chhuTne ke baad jaan-e-visal
tujhe zamin na mili mujh ko aasman na mila

ada-e-KHas mili aur sala-e-am mili
magar kahin bhi wo andaz-e-jaan-e-jaan na mila

gada-shanasi-e-ahal-e-karam musallam hai
hum uTh ke jis ke qadam len wo pasban na mila

jahan bhi dekha wahin paya tujh ko jaan-e-visal
teri nigah ka partaw kahan kahan na mila

wo dil hi kya jo mohabbat se aashna na hua
safina kya wo jise bahr-e-be-karan na mila

kise sunaen ghazal bahr-e-sharh-e-dil 'masud'
ki is dayar mein koi bhi nukta-dan na mila