tere dant sare safed hain pae-zeb pan se mal kar aa
nahin dekhe aaj tak abr mein mujhe ab dikhane ko aKHtar aa
shab-e-wada tu agar aae hai to darang kya hai mere ghar aa
ki ye aankhen lag rahi dar se hain shab-e-rashk-e-mah ba-KHuda dar aa
mere sar pe har ghaDi faKHta kare kaam kyunki na arre ka
qad-e-dil-ruba ke huzur tu na chaman mein ban ke sanobar aa
mere tan se sar ko juda kar ab nahin KHun-baha ki mujhe talab
ki ye tan ye bar-e-giran hai bas kahin tegh le ke sitamgar aa
ye makan hain donon tere liye nahin ghair ka hai yahan guzar
jo tu chashm mein nahin aae hai mere dil mein yar suKHnawar aa
teri rah dekhun main ta-kuja kahun kis se ye ki KHabar hi la
mera us se le ke jawab-e-KHat kahin jald uD ke kabutar aa
ba-juz abr de but-e-baada-kash nahin dil ke waste jae-KHush
ki ye shisha aur wo taq hai tu 'nasir' ja ke use dhar aa
Ghazal
Tere dant sare safed hain pae-zeb pan se mal kar aa
Shah Naseer