tere baghair kaTe din na shab guzarti hai
hayat kis se kahun kaise ab guzarti hai
guman hota hai mujh ko tumhaare aane ka
hawa idhar se dabe panw jab guzarti hai
hamara kya hai kisi taur kaT hi jaegi
sukun se un ki to sham-e-tarab guzarti hai
mujhe wo lamha qayamat se kam nahin hota
koi karah samaat se jab guzarti hai
guzar raha hun jis ehsas ke azab se main
qayamat aisi kisi dil pe kab guzarti hai
ye rah-e-shauq hai kuchh ehtiyat hai lazim
'zaki' saba bhi yahan ba-adab guzarti hai
Ghazal
Tere baghair kaTe din na shab guzarti hai
Zaki Tariq