اردو हिंदी
Tere badan ke nae zawiye banata hua | Shaahi Shayari
tere badan ke nae zawiye banata hua

Ghazal

Tere badan ke nae zawiye banata hua

Ashraf Saleem

;

tere badan ke nae zawiye banata hua
guzar raha hai koi daere banata hua

yahan sitare ko kya len-den karna tha
jo TuT-phuT gaya rabte banata hua

wafa-parast nahin tha to aur kya tha wo
jo zaKHm zaKHm hua aaine banata hua

main doston ke ek ek imtihan se guzra hun
bikhar gaya hun kai raste banata hua

'salim' TuT na jae kahin bharam apna
nikal paDa hun nae silsile banata hua