tere abru pe bal aaya to hota
zara ghairon ko dhamkaya to hota
bajae farsh main aankhen bichhata
tu apne wade par aaya to hota
samajhte farsh par hum chadar-e-gul
tera ai rashk-e-gul saya to hota
shikayat aaegi ai jazb-e-ulfat
janaze par use laya to hota
kiya tha gar falak tu ne siyah-baKHt
to main us mah ka saya to hota
na hota dard-e-sar phir tum ko 'ajiz'
sar us ke dar pe Takraya to hota
Ghazal
Tere abru pe bal aaya to hota
Peer Sher Mohammad Ajiz