tere aate hi sab duniya jawan malum hoti hai
KHizan rashk-e-bahaar-e-jawedan malum hoti hai
junun-e-sajda-rezi ka ye aalam hai maaz-allah
har ek chaukhaT tera hi aastan malum hoti hai
use har ahl-e-dil pahron maze le le ke sunta hai
meri bipta hadis-e-dil-baran malum hoti hai
kaTe hain din balaon ke sahaare jin asiron ke
unhen bijli bhi shaKH-e-ashiyan malum hoti hai
maal-e-zindagani ki haqiqat khul gai jab se
kasak dil ki mata-e-do-jahan malum hoti hai
KHayal-e-aish ki parchhain se bhi dil larazta hai
nigah-e-husn ab kyun mehrban malum hoti hai
KHuda shayad hai mere bhulne wale ba-juz tere
mujhe taKHliq-e-alam raegan malum hoti hai
kisi ki justuju mein 'wajd' us manzil pe pahuncha hun
jahan manzil bhi gard-e-karwan malum hoti hai
Ghazal
Tere aate hi sab duniya jawan malum hoti hai
Sikandar Ali Wajd