tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga
jabin-e-shauq hogi aur tera aastan hoga
zaban-e-sham-e-mahfil se suna hai ahl-e-mahfil ne
tera anjam kya parwana-e-atish-ba-jaan hoga
talatum hai umidon ka tasadum aarzuon ka
dil-e-hangama-parwar kaun tera raazdan hoga
rahen yunhi agar ranginiyan tarz-e-tabassum ki
mere zaKHm-e-jigar par KHanda-e-gul ka guman hoga
tajammul se guzar hoga tere kuche mein aashiq ka
tamannaon ka lashkar karwan-dar-karwan hoga
kabhi taufiq tark-e-ma-siwa ki ho hi jaegi
dil-e-azad hoga aur aish-e-jawedan hoga
surur-afza-o-masti-KHez-o-shorish-afrin hogi
wo bazm-e-sher jis mein 'wahshat'-e-shewa-bayan hoga

Ghazal
Tere aashufta se kya haal-e-betabi bayan hoga
Wahshat Raza Ali Kalkatvi