tere aangan mein hai jo peD phulon se lada hoga
tere ghar ka jo rasta hai baDa hi KHushnuma hoga
gawara kab mujhe hoga kisi ehsas ka Dhona
hai qarza is janam ka is janam mein hi ada hoga
na jaane kab mere bhaarat mein wo sarkar aaegi
ki jis sarkar ke hathon gharibon ka bhala hoga
wo lamhe zindagi ke jo tere ham-rah guzre hain
unhin ki yaad se jiwan baDa zaiqa hoga
jo dard-e-dil ata karta hai sab ko us se puchhenge
dawa-e-dard-e-dil bhi koi aaKHir bechta hoga
charagh-e-dil jala rakkha tha aab-o-tab se hum ne
hawa-e-gham chali hogi tabhi to ye bujha hoga
Ghazal
Tere aangan mein hai jo peD phulon se lada hoga
Shobha Kukkal