tere aane ka dhoka sa raha hai
diya sa raat bhar jalta raha hai
ajab hai raat se aankhon ka aalam
ye dariya raat bhar chaDhta raha hai
suna hai raat bhar barsa hai baadal
magar wo shahr jo pyasa raha hai
wo koi dost tha achchhe dinon ka
jo pichhli raat se yaad aa raha hai
kise DhunDoge in galiyon mein 'nasir'
chalo ab ghar chalen din ja raha hai
Ghazal
Tere aane ka dhoka sa raha hai
Nasir Kazmi