tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai
zaKHm-e-jigar ki rah se hasrat nikal gai
mal-dal se wasl mein teri mahram nikal gai
chuTki se ai pari bunat angiya ki mal gai
bulbul ko mast karti hai KHushbu libas ki
shayad nasim itr-e-bahaar aaj mal gai
kanghi se itni der mein suljhai ek zulf
ai jaan aadhi raat bakheDe mein Dhal gai
mazmun teri zard hina ka na bandh saka
manhad ki machhli hath mein aa kar nikal gai
itna na kijiye gul-e-ruKHsar par ghurur
do din ki ye bahaar hai aaj aai kal gai
andaz tere haal ki sikhi jo raat ko
tegh-e-hilal kabk par ai mah chal gai
sar se hamare phir gai shamshir-e-barq-dam
ai jaan girte girte ye bijli sambhal gai
kya saf gal hain ki na Thahre nazar kahin
be-saKHta nigah hamari phisal gai
rang-e-wafa uDa dil-e-saKHt-e-raqib se
botal mein ye sharab na Thahri ubal gai
kyun chashm-e-mast ho gae jam-e-sharab aaj
kya ho gaya jo aankh tumhaari badal gai
mazmun-e-garm par mere tana na kar sake
angusht-e-e'tiraaz harifon ki chal gai
miTTi meri KHarab hui rah-e-ishq mein
barbaad kar ke un ki sawari nikal gai
mujh se hi puchhta hai mera nama-bar pata
aisi firaq-e-yar mein surat badal gai
ai shoKH teri dast-daraazi se nashshe mein
gardun tak aaftab ki pagDi uchhal gai
de kar mai-e-do-atisha us se lipaT gaya
do aanchon mein raqib ki kya dal gal gai
jannat se bahra-war hon zafar-ganj ai 'munir'
jo jo thi aarzu mere dil mein nikal gai
Ghazal
Tirchhi nazar se dekhiye talwar chal gai
Muneer Shikohabadi

