tera visal hai behtar ki tera kho jaana
na jagna hi mayassar mujhe na so jaana
ye sab fareb hai main kya hun meri chahat kya
jo ho sake to meri tarah tu bhi ho jaana
hansi mein zaKHm chhupane ka fan bhi zinda hai
isi KHayal se sikha na main ne ro jaana
udas shahr mein zinda-dili ki qimat kya
baja hai meri hansi ka ghubar ho jaana
hasin tujh se ziyaada bhi hain zamane mein
bura hai aankh ka paband-e-rang ho jaana
Ghazal
Tera visal hai behtar ki tera kho jaana
Asad Badayuni

