tera wahshi kuchh aage hai junun-e-fitna-saman se
kahin dast-o-gareban ho na aabaadi bayaban se
ilahi jazba-e-dil ka asar itna na ho un par
pareshan wo na ho jaen mere haal-e-pareshan se
qayamat hai wo aae aur aate hi hue wapas
ye aasar-e-sahar paida hue sham-e-ghariban se
nazar wale samajh jaen na arsh-o-farsh ki nisbat
tera daman na chhu jae kahin mere gareban se
uruj-e-josh-e-wahshat 'sehr' hai ye roz-e-raushan mein
nazar aate hain tare rauzan-e-diwar-e-zindan se
Ghazal
Tera wahshi kuchh aage hai junun-e-fitna-saman se
Sehr Ishqabadi