tera shauq-e-didar paida hua hai
phir is dil ko aazar paida hua hai
sada pan kha kha ke nikle hai bahar
zamane mein KHun-KHwar paida hua hai
ye madfan hai kis ka jo har lala yan se
jigar-KHun dil-afgar paida hua hai
uDae hain laKHt-e-jigar aah ne jab
hawa mein bhi gulzar paida hua hai
main kyunkar na rakhkhun aziz apne dil ko
kahin dil sa bhi yar paida hua hai
kahe thi ye tifli mein dekh us ko daya
ye laDka tarah-dar paida hua hai
main aaya hun muddat mein koi us se kah do
tumhaara gunahgar paida hua hai
ye dil mujh se laDta hai teri taraf se
kahan ka taraf-dar paida hua hai
miyan 'mushafi' bechte ho jo dil ko
to lao KHaridar paida hua hai
Ghazal
Tera shauq-e-didar paida hua hai
Mushafi Ghulam Hamdani