tera rang-e-basirat hu-ba-hu mujh sa nikal aaya
tujhe main kya samajhta tha magar tu kya nikal aaya
zara sa kaam paDte hi mizaj ek KHak-zade ka
qad-o-qamat main gardun se bhi kuchh uncha nikal aaya
zar-e-KHushbu khanakta rah gaya dast-e-gul-e-tar mein
dil-e-sada KHaridar-e-dil-e-sada nikal aaya
ajab ek moajaza is daur mein dekha ki pahlu se
yad-e-baiza nikalta tha magar kasa nikal aaya
kahani jab bhi dohrai pas-e-har-abla-pai
wahi mahmil wahi majnun wahi sahra nikal aaya
'najib' ek wahm tha do chaar din ka sath hai lekin
tere gham se to sari umr ka rishta nikal aaya

Ghazal
Tera rang-e-basirat hu-ba-hu mujh sa nikal aaya
Najeeb Ahmad