tera KHayal ki KHwabon mein jin se hai KHushbu
wo KHwab jin mein mera paikar-e-KHayal hai tu
sata rahi hain mujhe bachpane ki kuchh yaaden
wo garmiyon ke shab-o-roz dopahar ki wo lu
pachas sal ki yaadon ke naqsh aur naqshe
wo koi nisf sadi qabl ka zamana-e-hu
wo garm-o-KHushk mahine wo jeTh wo baisakh
ki hafize mein kabhi aah hain kabhi aansu
wo zaen zaen ke kitne muhib zanaTe?
faza ka haul hawa ki wo wahshaten har su
wo saen saen ke kitne ajib sannaTe?
wo sansani wo pur-asrar ek aalam-e-hu
wo dopahar wo habuDe wo sengi bai kuT
faza-e-shoala-bajaan o hawa-e-atish-e-KHu
wo khiDkiyon mein hawaon ki sar-kashi tundi
wo baam-o-dar pe musallat jahannami jadu
wo pech-o-tab bagulon ka mere aangan main
chuDelen ghar mein ghus aai hain khaul kar gesu
wo lu ka zor ki sare kiwaD bajte hain
ki jaise lashkar-e-jinnat ka amal har su
wo shor jaise bagulon mein bhut hon raqsan
wo qah-qah wo ha-ha wo honk wo hu-hu
guzar raha hai tasawwur se jeTh ka mausam
aur is samay mein mujhe yaad aa raha hai tu
Ghazal
Tera KHayal ki KHwabon mein jin se hai KHushbu
Rais Amrohvi

