اردو हिंदी
Tera jamal tera husn kaamgar rahe | Shaahi Shayari
tera jamal tera husn kaamgar rahe

Ghazal

Tera jamal tera husn kaamgar rahe

Ehsan Danish

;

tera jamal tera husn kaamgar rahe
wo kya kare na jise dil pe iKHtiyar rahe

hazar kasrat-e-raana ne chilmanen Dalin
ba-har-hijab-e-tayyun wo aashkar rahe

meri nazar ka to kya zikr KHud bahaar ke phul
fareb-KHurda-e-rangini-e-bahaar rahe

kisi maqam pe dil ko sukun ho kya mani
jo be-qarar-e-azal hai wo be-qarar rahe

usi nawah mein ahl-e-nazar bhi mumkin hain
kuchh aur der sar-e-tur intizar rahe

tamam phul the aur zarf-e-daman-e-gulchin
jo bach gae wo charagh-e-shab-bahaar rahe

meri nigah mein hai wo harim-e-zebai
kaniz ban ke jahan mariyam-e-bahaar rahe

KHizan KHizan ho to daur-e-bahaar kya mani
bahaar ho to KHizan kyun bane bahaar rahe

jahan-e-husn ke asrar pa nahin sakta
jo ishq apni hadon tak hi be-qarar rahe

meri nazar se wo jalwe na rah sake mastur
jo zer-e-parda-e-pairahan-e-bahaar rahe

chhuDa chuka hun main dast-e-majaz se daman
haqiqat apne hijabon se hoshiyar rahe

main moDta hun isi ruKH se karwan apna
kuchh aur der ufuq par abhi ghubar rahe

junun-e-shauq mein tahqiq-e-rang-o-bu kaisi
rahe chaman mein to diwana-e-bahaar rahe

hain is tarah ke zawabit bhi be-qarari mein
ki tere sath zamana bhi be-qarar rahe

wo sirf mere hain 'ehsan' main faqat un ka
hai nagawar kisi ko to nagawar rahe