tera jalwa sham-o-sahar dekhte hain
saliqe se shams-o-qamar dekhte hain
pahunchna hai dil tak nazar dekhte hain
kidhar dekhna tha kidhar dekhte hain
mohabbat ka un par asar dikhte hain
mila kar nazar se nazar dekhte hain
tujhe dekhne wale yun to bahut hain
magar hum ba-rang-e-digar dekhte hain
jo hain nukta-chin wo karen nukta-chini
jo ahl-e-hunar hain hunar dekhte hain
abhi tak to ji hum ne khoya nahin hai
abhi zabt-e-gham ka asar dekhte hain
unhen meri 'farhat' KHabar ho to kyunkar
jo aKHbar paDh kar KHabar dekhte hain
Ghazal
Tera jalwa sham-o-sahar dekhte hain
Farhat Kanpuri