tera husn hai wo sahba ki koi misal kya de
kabhi tishnagi bujha de kabhi tishnagi baDha de
ye jahan hai ek tamasha koi dost hai na dushman
wahi aag raushni de wahi aashiyan jala de
ye tariq-e-dilbari hai ki ada-e-dil-nawazi
kisi jurm par nawaze kisi jurm par saza de
abhi zulmat-e-KHirad mein hai wafa ki tabnaki
ye charagh bujh na jae koi is ki lau baDha de
ye qadam qadam pe zulmat ye rawish rawish andhere
meri be-KHudi kahan hai mujhe rasta bata de
ye tasawwur-e-rihai rahe kyun nazar mein 'gauhar'
mujhe qaid karne wale mere baal-o-par jala de
Ghazal
Tera husn hai wo sahba ki koi misal kya de
Gauhar Usmani