اردو हिंदी
Tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana | Shaahi Shayari
tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana

Ghazal

Tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana

Jameel Mazhari

;

tera husn bhi bahana mera ishq bhi bahana
ye latif istiare na samajh saka zamana

main nisar-e-dast-e-nazuk jo uThae nazishana
ki sanwar gain ye zulfen to sanwar gaya zamana

teri zindagi tabassum meri zindagi talatum
meri zindagi haqiqat teri zindagi fasana

teri zulf-e-KHam-ba-KHam ne nae silsile nikale
meri sina-chaakiyon se jo bana mizaj-e-shana

tera naz-e-kibriyai bhi maqam-e-ghaur mein hai
ki ghaTa diya hai sajdon ne waqar-e-astana

main darun-e-KHana aa kar bhi liye hun dagh-e-sajda
hai abhi meri jabin par asar-e-barun-e-KHana

kabhi rah main ne badli to zamin ka raqs badla
kabhi sans li Thahar kar to Thahar gaya zamana