tera hi rup nazar aae ja-ba-ja mujh ko
jo ho sake ye tamasha na tu dikha mujh ko
kabhi to koi falak se utar ke pas aae
kabhi to Dasne se baz aae fasla mujh ko
talash karte ho phulon mein kaise pagal ho
uDa ke le bhi gai subh ki hawa mujh ko
kise KHabar ki sada kis taraf se aaegi
kahan se aa ke uThaega qafila mujh ko
mera hi naqsh-e-qadam tha mere taaqub mein
wagarna lakh bulati teri sada mujh ko
sameTta raha KHud ko main umr-bhar lekin
bikherta raha shabnam ka silsila mujh ko
ghuli jo raat ki KHushbu to sazishi jage
dahakti aankhon ne ghere mein le liya mujh ko
Thahar saki na agar chandni to kya gham hai
yahi bahut hai ki tu yaad aa gaya mujh ko

Ghazal
Tera hi rup nazar aae ja-ba-ja mujhko
Wazir Agha