tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai
birah sun mast hun mul ki qasam hai
raqib-e-ru-siyah khawega ab mar
mujhe tujh kale kakul ki qasam hai
liye dil phirte hain daur zulaf mein
mujhe us ke tasalsul ki qasam hai
na kar tun bul-hawas upar talattuf
tere dil ke tammul ki qasam hai
KHuda aaKHir karega KHush mera dil
mujhe apne tawakkul ki qasam hai
nahin hota hun milne sen kabhi ser
tere man ke tafazzul ki qasam hai
na rah ghafil tun apne 'mubtala' sun
tujhe tere taghaful ki qasam hai

Ghazal
Tera bulbul hun tujh gul ki qasam hai
Obaidullah Khan Mubtala