tera aana gar ai rashk-e-masiha ho nahin sakta
to bimar-e-mohabbat jaano achchha ho nahin sakta
tere kushte ko zinda sab karen ye ghair-mumkin hai
agar chahe har ek hona masiha ho nahin sakta
teri ulfat mein wo kushta hun gar isa bhi aa jae
wo zinda kar nahin sakta main zinda ho nahin sakta
main dil mein ru-ba-ru tere bahut kuchh soch aaya tha
magar haibat se izhaar-e-tamanna ho nahin sakta
jalao jitna ji chahe satao jitna ji chahe
karun shikwa kisi se tera aisa ho nahin sakta
hai tere wasl ki ummid par ye zindagi meri
bata do ho bhi sakta hai bhala ya ho nahin sakta
zamana chhoD de to chhoD de parwa nahin 'qurban'
mohabbat chhoD dun pyare ki aisa ho nahin sakta
Ghazal
Tera aana gar ai rashk-e-masiha ho nahin sakta
Qurban Ali Salik Beg