اردو हिंदी
Tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae | Shaahi Shayari
tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae

Ghazal

Tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae

Ataurrahman Qazi

;

tilsim-e-shab se bahut be-KHabar chale aae
ye kya ki sham Dhale yar ghar chale aae

kashish kuchh aisi thi miTTi ki bas mein hum log
qaza ka dam bichha tha magar chale aae

ajab hai kya jo mile wo hamein dobara bhi
hum ek KHwab mein bar-e-digar chale aae

KHiram karti hawaon pe tairte nashshe
chala wo shoKH jidhar ko udhar chale aae

khuli jo aankh to viran tha har ek manzar
Dhali jo raat to kya kya na Dar chale aae

wo aahaTen bhi kahin kho gain hamesha mein
hamari samt bhaTakte khanDar chale aae

hum ahl-e-shauq ko sahra ki wusaton mein 'ata'
asir karne ko diwar-o-dar chale aae