اردو हिंदी
Tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj KHatm hua | Shaahi Shayari
tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj KHatm hua

Ghazal

Tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj KHatm hua

Rohit Soni u0027Tabishu0027

;

tilism-e-nashsha-e-duniya bhi aaj KHatm hua
jo ho raha tha tamasha bhi aaj KHatm hua

mila jo us se to us ne bhi pher li nazren
chalo ye aaKHiri rishta bhi aaj KHatm hua

gira zamin pe sitara ye kis ke mizhgan se
ye kis ke dil ka sahaara bhi aaj KHatm hua

mile jo barson ke pyase to aise ek hue
ki ehtiyat ka pahra bhi aaj KHatm hua

jo rafta-rafta hui KHatm waz-e-derina
mohabbaton ka saliqa bhi aaj KHatm hua

tumhaari yaad se samjhauta kar liya main ne
KHayal-e-wada-e-farda bhi aaj KHatm hua

na jaane kaise tujhe apna man baiTha tha
meri nazar ka wo dhoka bhi aaj KHatm hua

tere taghaful-e-paiham ne kar diya mayus
mera wo zauq-e-tamanna bhi aaj KHatm hua

wo dil bhi le gae pahlu se uTh ke ai 'tabish'
ye roz roz ka jhagDa bhi aaj KHatm hua