tilism-e-lafz-o-maani ko tar tar karen
tasawwuraat ki nudrat ko aashkar karen
utar laen falak se mah-o-nujum tamam
zamin pe azmat-e-adam ko ustuwar karen
hain samt samt ayan KHair-o-shar ke hangame
ki aadmi ko KHudai ka raaz-dar karen
hain jama dahr mein fitne sabhi qayamat ke
ab aur kaun se mahshar ka intizar karen
guzar ke jaenge jis pul-siraat se ek din
chalo usi KHat-e-qatil ko rahguzar karen
uTha hai jis ki latafat se bandagi ka KHamir
usi gunah ki ismat pe jaan-nisar karen
jalae rakhne 'samad' apni aarzu ke charagh
ajab nahin ki wo dagh-e-jigar shumar karen

Ghazal
Tilism-e-lafz-o-maani ko tar tar karen
Samad Ansari