اردو हिंदी
Tilism-e-kar-e-jahan ka asar tamam hua | Shaahi Shayari
tilism-e-kar-e-jahan ka asar tamam hua

Ghazal

Tilism-e-kar-e-jahan ka asar tamam hua

Sultan Akhtar

;

tilism-e-kar-e-jahan ka asar tamam hua
ki KHak baiTh gai ab safar tamam hua

bas ek sukut bikharta hua hai chaaron taraf
har ek marka-e-KHair-o-shar tamam hua

kahin sakun na mila ishq se farar ke baad
kisi tarah na mera dard-e-sar tamam hua

gharon mein Dhalti hui raat thak ke baiTh gai
ki ab fasana-e-diwar-o-dar tamam hua

sab apni apni KHabar le rahe hain waqt-e-zawal
dilon se be-KHabari ka asar tamam hua

phir us ke ru-ba-ru hum dil ki baat kah na sake
hamara hausla bar-e-digar tamam hua

har ek dastan tujh se shurua hoti hai
har ek qissa tere nam par tamam hua

na koi baat mukammal hui meri 'aKHtar'
na koi kaam mera sar-ba-sar tamam hua