tilism-e-hosh-ruba mein patang uDti hai
kisi aqab ki hawa mein patang uDti hai
chaDhe hain kaTne walon pe luTne wale
isi hujum-e-bala main patang uDti hai
patang uDane se kya mana kar sake zahid
ki us ki apni aba mein patang uDti hai
ye aap kaTti hai ya kaTti hai dusri ko
bas ek bim-o-raja mein patang uDti hai
kahin chhaton pe bapa hai basant ka tyauhaar
kahin pe tangi-e-ja mein patang uDti hai
kahin falak pe sarakti hai sarsaraati hui
kahin dilon ki faza mein patang uDti hai
khula hai is pe kuchh aise bahaar ka mausam
hai ruKH pe rang qaba mein patang uDti hai
ye KHwab hai ki ulajhta hai aur KHwabon se
ye chand hai ki KHala mein patang uDti hai
umid-e-wasl mein so jaen hum kabhi jo 'zafar'
to apni KHwab-sara mein patang uDti hai
Ghazal
Tilism-e-hosh-ruba mein patang uDti hai
Zafar Iqbal