tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho
charagh koi tah-e-dil jalane wala ho
hum aa gae hain jise dekhne ko mahfil mein
ajab nahin wahi aankhen churane wala ho
bahut se log safar mein ikaTThe ho jaen
koi qarib koi dur jaane wala ho
main dekhta hun sar-e-sham aasman ko yun
ki jaise dur ufuq se tu aane wala ho
ye kya ki manjhiyon par ek hi si kaifiyyat
koi to naw kinare pe lane wala ho
Ghazal
Tilism-e-atish-e-gham aazmane wala ho
Hasan Jameel