tisri aankh khulegi to dikhai dega
aur kai din mera ham-zad judai dega
wo na aaega magar dil ye kahe jata hai
us ke aane ka abhi shor sunai dega
dil ka aaina hua jata hai dhundla dhundla
kab tera aks ise apni safai dega
KHush tha main chehre pe aankhon ko saja kar lekin
kya KHabar thi mujhe kuchh bhi na sujhai dega
apne hi KHun mein aaluda kiye baiTha hun
kaun is hath mein ab dast-e-hinai dega
maut bhi dur bahut dur kahin phirti hai
kaun ab aa ke asiron ko rihai dega
bechne nikla hun 'alwi' mera diwan magar
jaanta hun main koi paisa na pai dega
Ghazal
Tisri aankh khulegi to dikhai dega
Mohammad Alvi