اردو हिंदी
Tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun | Shaahi Shayari
tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

Ghazal

Tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun

Shibli Nomani

;

tis din ke liye tark-e-mai-o-saqi kar lun
waiz-e-sada ko rozon mein to raazi kar lun

phenk dene ki koi chiz nahin fazl-o-kamal
warna hasid teri KHatir se main ye bhi kar lun

ai nakirain qayamat hi pe rakkho pursish
main zara umr-e-guzishta ki talafi kar lun

kuchh to ho chaara-e-gham baat to yak ho jae
tum KHafa ho to ajal hi ko main raazi kar lun

aur phir kis ko pasand aaega virana-e-dil
gham se mana bhi ki is ghar ko main KHali kar lun

jaur-e-gardun se jo marne ki bhi fursat mil jae
imtihan-e-dam-e-jaan-parwar-e-isi kar lun

dil hi milta nahin siflon se wagarna 'shibli'
KHub guzre falak-e-dun se jo yari kar lun