tirgi nam hai dil walon ke uTh jaane ka
jis ko shab kahte hain maqtal hai wo parwane ka
chal bayaban ki taraf ji nahin ghabrane ka
ruh-e-majnun se ghar aabaad hai virane ka
dida-e-dost teri chasm-numai ki qasam
main to samjha tha ki dar khul gaya maiKHane ka
dam-e-aKHir ki mulaqat mein kya tum se kahun
waqt hi tang bahut hijr ke afsane ka
daman-e-shama pe dhabba na raha wah re ishq
KHun ab tak nazar aaya nahin parwane ka
tang hai sehn-e-jahan sath na le bar-e-amal
rasta milta hai mushkil se guzar jaane ka
gul-o-ahu chaman-o-dasht mein kah jate hain kuchh
kahin mauqa nahin ai dil tere bahlane ka
roke jate hain rah-e-dost ke chalne wale
wahi dushman hai jo hamdard hai diwane ka
qabr wale mue mamnun-e-ziyarat lekin
nam badnam kiya aap ne virane ka
hijr ne kaun sa paiwand laga rakkha tha
rasta mil gaya KHanjar ko guzar jaane ka
to shab-e-gham ko na samjha ho to main samjha dun
wahi maidan-e-shahadat tere parwane ka
qissa-e-bagh hai aur meri masarrat ki umid
Dhang aata nahin sayyaad ko bahlane ka
bazm-e-rangin mein teri zikr-e-gham aaya to sahi
KHush rahe chheDne wala mere afsane ka
aashiyan aabla-e-bagh hai ai soKHta-dil
ek nishan chhoD chala hun tere jal jaane ka
ibrat-e-aql hai waraftagi-e-ahl-e-mazaq
hosh walon mein hai charcha tere diwane ka
hasb-e-farmaish-e-gardish hain gharibon ke mazar
aasman dost hai manzar mere virane ka
hissa-e-baKHt ka mane hai yahi daur-e-falak
baDh gaya ghum ke rasta mere paimane ka
ho gaya gharq sar-e-shoala-e-sham-e-mahfil
KHun uncha hua utna kisi parwane ka
naza ke waqt jo kahta hun wo samjhe ki nahin
bab-e-awwal to yahin KHatm hai afsane ka
le pareshani-e-dil ab hai teri umr daraaz
waqt khinchne laga zulfon ke sanwar jaane ka
choT khane se dabi aag ubhar aai hai
rang badla hai mere dil ne sanam-KHane ka
dagh-e-dil qabr ki zulmat mein hai be-nur aisa
jaise dekha ho charagh aap ne virane ka
husn aur ishq ke nairang KHuda hi jaane
shama jalti hai ki dil jalta hai parwane ka
dekh KHun-e-sar-e-farhad ka rangin patthar
ye nagina hai banaya hua diwane ka
naza ek id hai rote hue wo aae hain
ai dil-e-zar yahi waqt hai mar jaane ka
ahl-e-dil jagte-sote mein suna karte hain
waqt koi nahin 'saqib' mere afsane ka

Ghazal
Tirgi nam hai dil walon ke uTh jaane ka
Saqib Lakhnavi