tirgi ki apni zid hai jugnuon ki apni zid
Thokaron ki apni zid hai hauslon ki apni zid
kaun sa qissa sunaun aap ko mushkil ye hai
aansuon ki apni zid hai qahqahon ki apni zid
git mere chum aaenge tumhein ban kar saba
sarhadon ki apni zid hai hasraton ki apni zid
raston ne KHub samjhaya ulajhna mat magar
rahzanon ki apni zid hai rahbaron ki apni zid
hae Tapka hai lahu phir aaj ke aKHbar se
chaquon ki apni zid hai pasliyon ki apni zid
dhaDkanon ki baat manun ya ki aaine ki ab?
aarzu ki apni zid hai jhurriyon ki apni zid

Ghazal
Tirgi ki apni zid hai jugnuon ki apni zid
Prabudha Saurabh