tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai
kuchh dikhai de to batlaen nazar mein kaun hai
kyun jalata hai mujhe wo aatish-e-ehsas se
main kahan hun ye mere diwar-o-dar mein kaun hai
zat ke parde se bahar aa ke bhi tanha rahun
main agar hun ajnabi to mere ghar mein kaun hai
chaak kyun hote hain pairahan gulon ke kuchh kaho
jhuk ke lahraata hua shaKH-e-samar mein kaun hai
jaise koi pa gaya ho apni manzil ka suragh
dhup mein baiTha hua rah-e-safar mein kaun hai
kanpta ja dekh kar izhaar ki tajsim ko
sochta ja aarzu-e-shisha-gar mein kaun hai
bas zara biphri hui maujon ki KHu mail rahi
ahl-e-sahil jaante to the bhanwar mein kaun hai
shor karta phir raha hun KHushk patton ki tarah
koi to puchhe ki shahr-e-be-KHabar mein kaun hai
main to diwana hun ek sang-e-malamat hi sahi
lekin itna soch lo shishe ke ghar mein kaun hai
Ghazal
Tirgi hi tirgi hai baam-o-dar mein kaun hai
Ameen Rahat Chugtai