tirgi hai sahn mein tabindagi diwar par
aaine jaDti rahi hai zindagi diwar par
sab jalal-e-mansabi sail-e-fana le jaega
lakh hum likhte rahen paindagi diwar par
zulmaten umDin kuchh aise kha gain harfon ka nur
KHun-e-dil se ki thi kuchh raKHshandagi diwar par
baam-o-dar ko dekhti rahti hain meri hasraten
kaun chaspan kar gaya sharmindagi diwar par
do ghaDi sae mein wo Thahra tha lekin aaj tak
hai ajab ek aalam-e-raqsandagi diwar par
umr bhar hum ne kiye hain jama murda-tajribe
aur samajhte hain ki likh di zindagi diwar par
Ghazal
Tirgi hai sahn mein tabindagi diwar par
Mohsin Ehsan