tirgi chand ko inam-e-wafa deti hai
raat-bhar Dubte suraj ko sada deti hai
main ne chaha tha ki lafzon mein chhupa lun KHud ko
KHamushi lafz ki diwar gira deti hai
koi saya to mila dhup ke zindani ko
meri wahshat teri chahat ko dua deti hai
kitni sadiyon ke dariche mein hai bas ek wajud
zindagi sans ko talwar bana deti hai
qafas-e-rang mein din raat wahi pyas ka dard
aagahi bhi mujhe jine ki saza deti hai
Ghazal
Tirgi chand ko inam-e-wafa deti hai
Shamim Hanafi