اردو हिंदी
Tirgi bala ki hai main koi sada lagaun | Shaahi Shayari
tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

Ghazal

Tirgi bala ki hai main koi sada lagaun

Rajinder Manchanda Bani

;

tirgi bala ki hai main koi sada lagaun
ek shaKHs sath tha us ka kuchh pata lagaun

bahte jaane ke siwa bas mein kuchh nahin to kya
dushmanon ke ghaT hain naw kaise ja lagaun

wo tamam rang hai us se baat kya karun
wo tamam KHwab hai us ko hath kya lagaun

kuchh na ban paDe to phir ek ek dost par
baat baat shak karun tohmaten juda lagaun

manzar aas-pas ka Dubta dikhai de
main kabhi jo dur ki baat ka pata lagaun

aisi teri bazm kya aisa zabt-o-nazm kya
mere ji mein aai hai aaj qahqaha lagaun

ye hai kya jagah miyan kah rahe hain sab ki yan
kuchh kashan kashan rahun dil zara zara lagaun