tirgi baDh rahi hai bahar ki
raat bhi be-charagh hai ghar ki
aabginon ki tarah TuT gai
jab imarat banai patthar ki
sham palken bichhae baiThi hai
ab thakan bhul jao din bhar ki
zindagi manzilon ko Thukra kar
Thokaren kha rahi hai dar-dar ki
sirf jazbon ko sard karna tha
zindagi ho to jati patthar ki
Ghazal
Tirgi baDh rahi hai bahar ki
Nusrat Mehdi