tira-o-tar zaminon ke ujale dariya
hum ne sahraon ke sine se nikale dariya
wadiyan aaen to aaram se so jate hain
faslon se na kabhi haarne wale dariya
chahte the ki phiren ru-e-zamin par har su
ban gae rah mein ghaaron ke niwale dariya
tujh se chhuTne pe tere dhyan ki aaghosh mili
kar gaya mujh ko samundar ke hawale dariya
ai zamin sukh rahe hain tere pyase jangal
kya hue hain teri aaghosh ke pale dariya
kis tarah dard ka tufan mere sine mein thame
kis tarah apni rawani ko sambhaale dariya
Ghazal
Tira-o-tar zaminon ke ujale dariya
Zahid Farani