اردو हिंदी
Tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab | Shaahi Shayari
tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab

Ghazal

Tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab

Wali Uzlat

;

tira-baKHton ko kare hai nala-e-ghamgin KHarab
jis tarah ho ja saba se kakul-e-mushkin KHarab

jon nasim-e-subh ghunche gul ke sab barbaad de
sard-mehri se buton ki hain dil-e-rangin KHarab

be-dimaghi mat kar ai zalim ki jun mauj aur habab
dil mera kar de hai pal mein abru-e-pur-chin KHarab

jun jale hai shama ka musht-e-zar aur tasbih-e-ashk
jis tarah sarkash ka hai duniya KHarab aur din KHarab

tha bana 'uzlat' wo jab faulad-dil parwez se
tab to teshe ne kiya yun KHana-e-shirin KHarab