tir pe tir nishanon pe nishane badle
shukr hai husn ke andaz purane badle
pyar ruswa na hua aaj talak donon ka
hum ne milne ke nae roz Thikane badle
daur aazadi-e-gulshan ka bahut yaad aaya
mere hisse ke jo sayyaad ne dane badle
ek mulaqat ne dil par kiya aisa jadu
phir na utra wo nasha lakh siyane badle
dar-ba-dar Thokaren kha kar na muqaddar badla
mere haalat bhi badle to KHuda ne badle
pahle jaisa nahin mahaul raha gulshan ka
ruKH badal ab to hawaon ke zamane badle
pesh kya karte unhen jam-e-mohabbat 'arif'
umr ke sath ye mausam bhi suhane badle
Ghazal
Tir pe tir nishanon pe nishane badle
Syed Arif Ali u0027Arifu0027